i am tired with my family i am tired with my family

1 year ago

me aur mere family me dikkat hai me chahta hu life apne hisab se jiyu mere papa ne mujhe bhut roka hai mene bhut achi job dhundi thi khudse mere papa ne meri job churwai aur kaha ki isse achi lgwaunga but lagwai nhi chote kaam lgwaaye but baat chote bade kaam ki nhi ,educated person yahi chahta hai ki profile achi mile me yahi chahta tha mene graduation bhi apni kamai se ki fir lockdown wagera pr gya lockdown se present time me jobless hu aur mere parenst shaadi krana chahte hai me agree nhi hu to papa ne bola nikal ghar se me nikla to panic attack aaya to family ne emotionally mujhe shaadi ke liye mnna liya but me nhi chahta jis area me hum rehte hai wahi stay kre kyun area acha nhi at least itna to sun le woh but nhi mante .mere papa like ye kaam me krdun ya kaa me nhi karun mtlb chat bhi apni pat bhi apni.recently papa ne bola ghar se nikal dunga mene bola thik hai fir wahi panic attack me krun to kya krun me thak gya koi family support nhi mera naa maa kaa naa bhehen ka .har baar bas yahi hota hai woh kehte hai nikal jab me nikalna chahta hu ghar waalo ko chorke to panic attack aate aur meri mom blame krti marenge to meri wajah se ab meri kya galti me bs chahta hu apni life me apne hisab se jiyu bs jese mene kaha ki me maan gya shaadi ke liye jabki me shaadi nhi krna chahta me bs yahi demand kr rha hu ki life apne hisab se jine do fir woh kehte hai jine to de rhe hai kaha tang krte jina in the sense mujhe ristedaari nhi nibhani koi aata jaata nhi ghar me mere papa ke behaviour se bhut bolte hai kisi ko bhi muh pr bol dete hai aur bs ijjat ijjjat krte rehte hai mana ijjat value hai but itni bhi nhi kisi ko roke.mene kaha me abroad jana chahta hu to kaha ghar se nikal mene kaha me rishtedaar ke nhi jaa rhe mujhe nhi psnd to kaha ghar se nikal chije tor for krna ghar ki,mene kaha shaadi nhi ghar se nikal kyunki me janta hu shaadi woh mere hisab ki ladki se nhi krenge mere dono beheno ki shaadi hui ladke se bs shaadi waale din mili unki psnd ka bhi nhi tha unki bhi nhi sunni ab woh chup chaap ji rhi hai but me aisa nhi.me lirbrate hu ki jo chahu krnu mere papa orthodox hai mujhe kisi chij me aage nhi barne diya mere papa meri banti nhi mene kaha tak keh diya me tumhare saath re lunga but tumahre niyam se nhi rhunga me liberate hu mujhe niyam me ghuttan milti hai naa mere ab tak dost bnne mere papa ne mujhe study aur gaming ghar me engage kra
jese mene btaya ki mujhe job mil khud ke dum pr achi but mere papa ne chudwaadi ye kehkar isse achi lagwa dunga aise krte krte meri age bhi bar gyi me 30 saal ka hu ab mujhe koi job nhi deta age ki wajah se.aur me papa se pareshaan hu unke rule se hamesha taane dete hai
chalo thik hai me kuch naa krun naam badnaam krun maa baap ka banta hai sunana but mene aaj tak aisa kuch nhi kiya bs manga to yahi ki jina apne tarike se chahta hu bs ye.naa mujhe paiso ka lalach hai naa property ka mene itna keh diya mujhe ghar se nikal do me chala jaunga even sab kuch betiyo ke naam kr dena me kabhi nhi aaunga kyunki me thak gya hu roj roj ka drame se.me sports me bnna chahta tha nhi kiya support aur kehte the mere dost ka beta sports me hai .mene socha papa ke saath chat pr bethkr time spend krun chaaye lekar gya to ye sunne ko mile dekh woh ladka hai tu us jesa ban.
mene aaj tak papa se demand nhi ki ye do woh do jab ki yahi bawaal hota hai yahi to chaha ki mujhe apne tarike se jina hai tumhare nhi woh maante nhi kehte hai ki mere se kuch galat krwa doge ye bolte hai
even mujhe ye bola ki kahi naukri bhi nhi milegi aisa krdunga tere saath jab me kehte me aise jina chahta hu
mere koi support nhi hai bilkul bhi me thak gya mujhe secuirty chaiye
bs
chaahe me sadak pr reh lun me khush rhunga chaahe itte utha lunga me thak gya family se degree ka bhi fayeda nhi
ek taraf kehte hai ki apne psnd ki ladki bta shaadi kra denge to mera jawab ki aaj tak ghar me ked krke rakhha ladki kaha se laun
aur abroad jana hai wahi settle hona hai bola to ghar se nikal wahi sab repeat me thak gya bhut.
agar mere papa ko kuch hua to blame mere par ki mari wajah se marre
aur mummy bhi keh rhi hai ki roj roj m bhi thak gyi baap bete ki baato se jaldi mar naa jaun to choti behen ne bola kuch hua naa to tereko sab milke maarenge
me krun to kya krun
me bs itna chahta hu ki life apne hisab se jiyun meri koi demand bhi nhi hai jyada kuch bs jina apne tarike se chahta hu
meri mummy ne kai baar papa ko samjhaya is baare me jab woh nhi chahta kuch kyun tang krta hai nikal de isko
to papa kehte nhi usko nikalunga tujhe bhi teri beti ko bhi aur randiyo ko rakhunga bs yahi drama hota hai
me thak gya hu roj roj ki baato se kabhi kabhi lagta hai ki aslyum chala jaun yaa kuch krlun
meri 10th 2012 me hui
meri 12th 2017 me hui
meri gradution jo mene khudki kamai se ki woh 2021 me fir lockdown lg gya mera 1 saal barbaad opportunity nhi dhund papa lockdown khula to job nhi mile socha course krlu insititue band sab

ek baar mene tang aakar ghar waalo se police me call kri jab police walo ne pucha hum kyamadad kr skte hai mene bola ki mere parents ne pareshan kr diya to unhone phone kaat diya
us din bhi papa ko panic aa gya

me aisa nhi hu me nhi chahta hurt krna lekin me seh bhi nhi sakta warna mujhe kuch ho sakta hai me nhi kar sakta control mentally
mere papa se agar paise maango to kehte ki nahi ai phone ke paise dete hai aur khaane ko
usme bhi bolte hai ki bethe bithaaye mil rha hai
aaj tak delhi se bahar ghumaaya nhi bs jamai ke kehne pr shimla gya kyunki jamai ne bola
ye dikhane ke liye mera naam hoga
mere papa is like ijjat apne naam ke liye jitna bhi paisa ho woh de denge koi khilaaf ho to ghar se nikal denge is like aur me iske ulta hu me chahta hu independent bnu paisa kamau career pr dhyaan dun aur shaadi apni pasand aur aau jauan waha jaha me chahta hu yahi mere papa nhi chahte mujhse isi chijo ke khilaf hai aur kitna likhu
i am tired specially with my dad duniya ke liye paisa hai baatne ke liye mummy maa behen ke liye nhi aur me to mangta nhi jabardasti dete hai mujhe woh bhi mobile recharge krta me kya hi kahu bs yahi chahta hu ki mujhe safety chaiye ki koi blame krde ki meri wajah se hua

Anik

Responded 1 year ago

View All Answers
A.Dear Client,
I am so sorry to hear this. It is extremely difficult and sad to put up with family difficulties. However, you need to help yourself here and there is little that can be done legally, as it would require funds to fight case even under harassment, which assuming you're still a student will be difficult for you. Also, you are still financially dependent on your parents.
Helpful
Helpful
Share
Placeholder image

Anonymous

Replied 1 year ago

me dependent hu parents pr kyunki unhone bnaya hai mere papa ki government job hai duniya bhar me paisa dete hai raaah chalte aadmi tak ko paise dete hai
jab hum ghar me maange to kehte paise nhi hai kheech ke chalao mere baaki ghar waale including maa bhehen agree hai me nhi is baat se.kyunki me thak gya hu me 27 ka hu still dependent hu kyunki mere papa aise hai ki kehte hai paise lele 100 rupay kharch krte fir mummy ko kehte isko 100 rupay diya like that
abhi ek recent baat hai mere papa mahine se piche pade the ki paise de deta hu naya phone lele mene hajaar baar bol diya tha ki nahi chaiye mujhe bol bol ke pareshaan kr diya ki lele even yaha tak ye bola ki shaam tak phone aa jana chaiye mere bura koi nhi hoga mene mummy ko samjhaya mummy to papa ki baato me aati hai har baat me papa ko support krti hai to bas whatsapp tak pr pareshaan kr diya mujhe ki phone le le ghar me milte hi
me phone nhi lena chahta kyunki woh gun gaate rahenge ki ek phone tak ka le nhi pata mene paise diye to torture saa lgta hai bhut to mene apne birthday pr papa ke diye paise se phone le liya woh bhi tang hokar ki chup to honge krke but aaj ki baat hai 13 april 2023 ki papa ko aaj pta chala woh jo phone kharida hai me use nhi kr rha
me isliye use nhi kr rha woh fir bolenge mujhe taane torture saa krenge ki me meri wajah se wagera wagera to isliye mummy ko diya mene diya phone to aaj pta chala to kehte hai mere paise barbaad kr diye jaake badal mene kaha ab wapas nhi hoga kyunki mene 2nd hand liya tha 1 hafte me wapas kr skte the without bill wala gaffar market se .dekhofir se taana maar diya ki paisa barbaad kr diya lena nhi tha to mana kr deta leta nhi ab btao me krun to kya krun aise insaan ka

mene kai baar ghar chorne ki koshish ki tang hokar meri behen ne roka kabhi papa ko panic attack aaya kyunki me thak gya hu mere saath ke log paisa kama rahe hai sab ji rhe hai me ab tak bache ki tarah treat hu jo 5 saal ka bacha wese job bhi churwaai meri.ab mere pass paisa nhi hai ki legallly krun

mujhe kuch nhi chaiye parents se i just want to leave them me written me bhi de sakta hu ki mujhe naa hissa chaiye na kuch kyunki mujhe mera ghar me ghuttan hoti hai

tabhi me madad ke liye aaya hu roj roj ki baat hai

bs dhamki dete hai ki kuch bura kra doge mujhe aise krke
even papa ne bola ki nikal dunga to mene bola thik hai me jaa rha hu to panic attack

mujhe ye samjh nhi aata papa apni ek baat pr kyun nhi tikte

chat bhi apni pat bhi apni


ek taraf kehte hai tere mer krta hai ek taraf kehte hai tera hai jab mera hai kuch to mujhe usko rakhne yaa naa rakhne ka adhikaar hona chaiye baat adhikaar ki nahi baat ye hai apni baat pe tikte ni papa kabhi bhi

bs mere papa chahte hai me ek gulam beta bn ke rhu jo apne sapne life kese jini hai kya krna hai kya nhi krna kab toilet jana hai kab nhi jana kisi ke saath bahar hota hu 100 call kr kr kr pareshan krte ki jaldi aa

isliye tang aake me lawyer site pr aaya kyunki panic attack hota hai papa ko to mummy mujhe blame krti hai ki mera pati mara tujhe nahi chorungi aur mummy ko papa ki wajah se kuch hua to bhehene kehti hai ki sab tujhe maarenge


me karun to kya karun

me thak gya hu ab bhut

mera intrested har chij se khatam hota jaa rha hai
parso bhi hua tha jagra to me cp raat se dusri raat tak khaya nhi kuch me


me case nhi krna chahta me safety aur apne ghar waalo se dur hona chahta hu naa koi paisa naa kuch

kyunki mene aaraam se bhi samjhaya but nhi maante

Post Your Matter Post Your Matter

Talk to a Lawyer Talk to a Lawyer

Ask a question Ask a question

Vidhi Samaadhaan Vidhi Samaadhaan

Read Related Answers

question iconMental Abuse and Harassment by Mother in law
Dear Client, Such kind of inhuman ill-treatment and emotional harassment by a mother-in-law towards her daughter-in-law deserves stringent action and strong protest by filing a complaint under Sec.12...
question iconMarriage and police related problem
Dear Client, The Police do not have any authority to interfere or relinquish the marriage of two consenting individuals who have attained majority. In case of false allegations and misuse of power by...
question iconStaying at husband house after court ordered monthly maintenance
Dear Client, In November 2020, the Supreme Court of India ruled that deserted wives and their children are entitled to alimony/maintenance from their husbands from the date they apply for it in court....
question iconHusband and wife problem
Dear Client, In case of marital issues, you can approach a family counselor to resolve the matter and seek appropriate assistance. Hope it helps. Thank you.
question iconSapinda relationship
Dear Client, Under the Hindu Marriage act marrying within your pinda ie Sa- Pinda is prohibited under the sec 5 of the Hindu Marriage Act for the reason that the biological offspring would be genetic...