Land registry fraud Land registry fraud

4 years ago

Sir mere papa ne 29 feb 2018 ko bhumi dekhne ke baad paise 16 lakh diye property malik ko us din registry karane gaye paise dene se pahle bataya gaya tha do bhaiyon ki jameen hai 11 acre lekin draft likhte waqt 4 bhayi ho gaye . Chunki paisa unko mil gaya tha bank transfer aur kuchh nagad men to hamko manana pda kyunki jameen thik thi aur paisa bhi diye the. Lekin draft computer me likhane ke baad hamse kaha gya ki kuchh kagaj nahi hai registry agle din ho jayegi aur us draft ko maine email apne me karwa liya tha. 2 din baad jab registry karane gaye to chunki mere papa divyang hai to registry lekhak aur bhumi malik ne kaha ki draft apko mail kar chuke hain aap divyang ho registrar office me chaliye registry ka draft ko lekar aata hun ham office me wait karne lage isi beech unhone 4 me se ek registry me bhumi number badal diya aur uska rakwa aur registry fees kam karke likh diya. Ye baat jab pta chali jab hamne mili registry aur email wali draft copy se milan kiya is prakar dhokhe se 5 acre jamin banjar likh di gayi aur jo teen registry hai wo bhi banjar nikli is tarah se hamara nuksan ho gaya aur hamne is jameen ko lene ke liye bank se 10 lakh loan le rakha tha . Police me complain kiya to police ne kaha 420 ka mamla banega lekin fir darj nahi hua SP OFFICE me shikayat ki lekin kuch nahi hua . FIR BHI likhi nahi gayi . Mp cm helpline men shikayat ki FIR na likhane ki to usmen police ka jawab darj hua ki fir likhi jaanch ki aur paya ki jameen jyada maang rahe hain . Jo ki jhut hai. Hamare paas registry lekhak ka call record aur video record hai jisme usane bola ki jameen malik ne badalaya hai jameen. Police email call record aur video record ko saboot nahi maan rahi hai.ab ham ismen kya karen ki hamara paisa mil jaye aur doshiyon ke upar karywahi ho . Registry ka gawah main hun aur ek dalal hai jis par hamne paisa udhari ka na dene ka case lagaya hai jo ki mere gaanv ka hai. Ek point ye hai ki sabhi registry men mere papa ki hi image hai unhone apni image nikalwa thi ye registry ke milne par pata chala.

Shreyash Mohta

Responded 4 years ago

A.Resubmit precise query.
Helpful
Helpful
Share

Post Your Matter Post Your Matter

Talk to a Lawyer Talk to a Lawyer

Ask a question Ask a question

Vidhi Samaadhaan Vidhi Samaadhaan

Kishan Dutt Kalaskar

Responded 4 years ago

View All Answers
A.Dear Sir,
The description given by you is so lengthy, please make it short and re-submit, as experts have no time to spare as this is free and charity work.
Helpful
Helpful
Share
Placeholder image

Anil Singh

Replied 4 years ago

1- Sir Hamne 11 Acre k bhumi ka paisa diye aur turant usi din registry karane gaye draft likha gaya. Phir bhumi malik ne kagaj nahi hai ka bahaana banakr us din registry nahi karaya. kewal draft likha gaya. hamne draft apne email par send karwa liya .

2- Do din baad Registry likhi gayi hamko bola gaya draft aap dekh chuke hai aap viglang hai registrar karyalay me chaliye aur isi beech registry ke draft me parivartan kar diya gaya 11 acre bhumi ko 10.40 acre kar diya aur amount 1579000 se 1529000 kar diya regitry shulk 125000 se 110000 kar diya gaya. Ye hamen baad men email copy milan se pata chala.

3- Hamne unko notice sudhar ka diya koyi jawab nahi mila. Hamne police me complain ki to bole 420 ka mamla hai lekin kuchch police ne nahi kiya.

4- hamne sthaniy vakeel se baat ki to bole Jabalpur High Court men Writ daayar karen kyunki hamare area men 156(3) me 7 mahine men ek peshi hoti hai isase time lagega.

Hamen Kripya Uchit salah den Hamne 10 Lakh Loan le kar jameen li thi jiska byaaj ham ek saal se bhar rahe hain aur jameen malik usi jameen par aaj bhi kheti kar raha hai.

Post Your Matter Post Your Matter

Talk to a Lawyer Talk to a Lawyer

Ask a question Ask a question

Vidhi Samaadhaan Vidhi Samaadhaan

Rameshwar Dadhe

Responded 4 years ago

A.Go to the Court or file private complaint
Helpful
Helpful
Share
Placeholder image

Anil Singh

Replied 4 years ago

Sir Mere Vakil ne Bataya ki 156(3) Men Ek Peshi 8 Mahine men Hoti Hai Aur Kaha ki App Writ Dayar karo Jabalpur High Court Men Please Suggest.

Placeholder image

Rameshwar Dadhe

Replied 4 years ago

Apne uske khilap 420 dakhil nahi kiya ky . Otherwise call me

Placeholder image

Anil Singh

Replied 4 years ago

Police me SP tak application diye lekin police ne FIR darj nahi ki

Placeholder image

Rameshwar Dadhe

Replied 4 years ago

Go to the court or file criminal case against them

Placeholder image

Anil Singh

Replied 4 years ago

Sir police email draft deed ko proof nahi maan rahi hai. Bol rahi hai draft me unke sign nahi hai. Lekin draft ko to likhane wale ne mere mail men bheja hai aur payment transfer ke baad.

Placeholder image

Rameshwar Dadhe

Replied 4 years ago

File private complaint against them to the court

Post Your Matter Post Your Matter

Talk to a Lawyer Talk to a Lawyer

Ask a question Ask a question

Vidhi Samaadhaan Vidhi Samaadhaan

Read Related Answers

question iconBalcony extension
Dear Sir, Yes, you can do so with the formal permission of either association people or builder. You may file representation before them and get consent.
question iconDigging borwell infront of my house without permission
Dear Sir, How to File a Harassment Complaint Against a Neighbour Is Calling Police an Option? Yes, calling a police if your neighbor harasses you is an option to go with. You have the option to call t...
question iconProperty documents
Dear Sir, It is not safe to give your originals to any broker. Thereafter, they may blackmail you.
question iconRight over mother's ancestral property
Dear Sir, You have no rights over ancestral property of your mother during her lifetime since it is her exclusive Streedhana. She may execute a Will or alienate the property as she may wish.
question iconTransfer of property to wife after demise of husband
Dear Client, According to the law of inheritance, on the death of a person, his legal heirs have a right to inherit the property. So, in this case, the mother and children being the legal heirs of th...